Wednesday, 23 April 2014

Weight Loss Tips By Zubaida Apa


  • Subha bed se uthnay se pehlay neem garam pani k 5 chotay glass piyen.uske liye raat ko paani garam kar k flask main daal kar apny qareeb rakh lijiye.
  • 8 ya 9 bajay nashta lijiye.nashtay main brown bread ya brown rusk,cottage cheese,saib aur "Low Fat Milk" lijiye( doodh ubaal kar thanda honay k bad fridge main rakh dijiye,raat bhar para rahy,subha uske ooper se balai ki teh utaar dijiye,low fat milk tiyar hay)
  • Nashtay k 2 ghantay baad 2 kheeray ( cocumber) ya saib ( Apple) kha lein.
  • us k 2 ghantay (hours) baad Skimmed ( cream niklay huye doodh ka bana hua) dahi ( yougart) khaiye,
  • Is tareekay pe chaltay huye raat honay tak her 2 ghantay bad koi na koi cheez khatay rahiye,
  • Roti chaawal bilkul bhi mat khaiye.
  • Din main 1,2 baar Pait ko andar khench kar thori bohat chehel qadmi ( walk) kijiye.
  • Ghar main agar seerhiyan ( upstairs) hain tou un par charhiye utriye.InshaALLAH 1 maheenay ( month) mein apka wazan kafi kamm ho jayega.

2 comments:

  1. Suggest you consume 6-8 glasses a day.Cold water changes the body internal temperature.As your body works to heat it, about his

    ReplyDelete
  2. diets where you eat enough food to reassure your body you aren't starving.
    forskolin reviews

    ReplyDelete

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...