Khoobsurat aur gori rangat kis ka khawab nahi hota,jild ki khoobsurti aur saaf rangat k liye kuch ghareloo nuskhay darj kiye gaye hain jo baras ha baras se azzmooda hain.
- 2 khanay k chamach Besan ( gram flour) aik chutki haldi ( turmeric
- Dahi (Yogurt) aur Orange Juice ko barabar Miqdar main mix kar len,aur face & neck (ya jahan bhi aap apply karna chahen ) pe 10 min k liye laga dijiye,15 min baad thanday paani aur kisay achay se facewash se dho daliye,,maltooba skin tone hasil karny k liye is cream ko aik maah tak roz apply kijiye,
- Shehd (honey) aur Leemoon ka rass ( lemon juice) barabar Miqdar main mix kijiye , chehray aur gardan pe achi tarah laga lijiye,15 min baad dho daliye,matlooba nataij k liye 1 month tak istemaal kijiye,
- Kheeray (cucumber) ka juice aur Lemon juice barabar miqdar main mix kijiye aur desired part pe apply kijiye, 15 min baad dho daliye,, matlooba nataij k liye 1 month use kijiye
- Matlay k chilkay (orange peels) dhoop main sukha len,mukammal sookh janay pe pees len, is powder k 1 table spoon len us main 2 table spoon mlik ad kar k paste bana len, aur face & neck pe apply karen, sookh janay pe neem garam pani ( lukewarm water) se dho daliye, ye skin whitning k liye behtareen paste hay,
- Sandalwood powder ,lemon juice ,cucumber juice,tamatar ka juice mix kar len, chehray pe lagaiye,khushk honay pe dho daliye,roz ba roz apki skin nikharti jaye gi
- 4,5 badaam ( almonds) raat bhar k liye bhigo den,subah uska chilka utaar den & pees len us main 1 tablespoon shehd ( honey) milayen , face & neck pe apply kijiye,dry ho jaye tu dho daliye,skin ko milky white & glowing karny k liye behtareen homemade paste hay.
- Aalu (potato) aur tamatar (tomato)k juice mein bhi behtareen sking bleaching agents mojood hain, ye na sirf sking whitening k kaam ata hay balkeh skin ko dhoop k asaraat se honay waly nuqsaan main mufeed hay,jild pe bdnuma daag dhabbon ka bhi khatma karta hay
Note:
Hasaas jild ( sensitive skin) orange ya lemon juice se irritation ho sakti hay, is soorat main inki miqdaar kamm kar len,takeh apki jild ko nuqsan ya jalan ka aindesha na rahy
Dry skin will cause skin issues thus finding the correct facial wash is crucial and may be an extended trial and error search
ReplyDeleteChoose The Best Toothbrush
That's just awesome.. if you want to join pakistan rishta or read latest urdu sms or want to read beauty tips in urdu? You can contact us via our blogger profile.
ReplyDelete